Skip to main content

Story on Character Ghareeb Nawaz


 

Khwaja Ghareeb Nawaz Razi Allahu Anhu aur Ek Qatil

    Ek dafa ek shaqs Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti Ajmeri Razi Allahu Anhu ko qatal karne ke Eradah se aٓyaa Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Razi Allahu Anhu ne us ke tevar bhanp liye aur Mominana Firast se us ka Eradah maloom karliya. Jab aaٓp ke qarib aٓyaa to aap us ke saath nahayat khandah peshani se pesh aٓyeٔ aur badi narmi se farmaya bhaiٔ tum jis Erade se aٓyeٔ ho us ko poora karo, my tumhare samane mojud hun, ye sunkar us shaqs ke jisam par larzah taari hogaya aur wo aaٓp ke qadamon par   girpada, phir kahane laga ke mujh ko laalch de kar aaٓp ko Qatal karne par mamoor kiya gaya tha isi maqsad ke liyeٔ  my  ye choori apani baghal me chupakar laya hun ab meri khwahish hai ke isi choori se aaٓp mera kam tamam karden taa ke my apani bad niyati ki saza ko pahunchun. Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Razi Allahu Anhu ne farmaya "Mominon ka shewah to ye hai keh jo un se badi karta hai wo us ke sath bhi Neki kar te hai" ya farmakar us ko gale lagaliya. Aur us ke haq min dua yeٔ khair ki .  Us shaqs par aaٓp ke bulnd akhalaq ka is qadar asar huaa kah usi waqat aaٓp ke hath par baiyat karli aur Din Raat aaٓp ki khidmat me rahne laga. Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Razi Allahu Anhu ki sohabat ne us ko Phattar se Heera banadiya aur wo 4̱5 ̱bar Haj Baiyatullah se Masharf hua aur bilaٓkhir Hijaaze Maqdas me hi safare aٓkhirat ikhtiyar kiya.

Note : Baraye Isale Sawab : Shere Karen

https://shabbirnetworks.blogspot.com/2024/11/story-on-character-ghareeb-nawaz.html



Comments

Popular posts from this blog

Islamic Prayer Time

Bismillah Importance of Namaz (Salah) in Islam: Namaz (Salah) is one of the five pillars of Islam and it is a very important part of the life of Muslims. It is a duty of worship, which is mandatory for every sane and adult person. Namaz (Salah) is not just a routine but it is a way of worshiping  Allah. Namaz(Salah) ! There is a direct connection between Allah and man. Through this a man asks for prayers, mercy and forgiveness from his God. This creates a feeling of respect and gratitude towards Allah in the heart of man. The importance of Salah has been mentioned in many places in the Quran : "No doubt, prayer prevents one from shame and evil, and the remembrance of Allah is the greatest." (Quran 29:45) This verse tells us that prayer is not just a form of worship; rather it prevents a person from evil deeds and makes his people better. Daily Updates: Recite Kalima Sharif loudly near the dying Person  Prophet Muhammad   (Sallallahu Alaihi Wasallam) said : Teach the Kal...

Mushaeera (Urse Taheri)

 331st Urs Hazrath Syed Shah Taher Qadri, Adoni. A.P. Desiging Printing :  Posters, Banners Wedding Cards, Visting Cards, Bill Books etc. Contact No. : 9490255192

Mehfile Zikr

 Mehfile Zikr-O-Azmate Aoliya